abc

Friday, 13 July 2018

Par ab farq nhi padta, kyunki tumhe ab bhul chuka hu mai.




Yad hai mujhe aaj bhi jab hamari har mulakat, meri zarurat ban gayi thi.
Aur meri har zarurat, meri chahat ban gyi thi.
Kash ye mohabat ka silsila kuch der aur chala hota.
Aur wo rat ka chand din me bhi aasman me hota.

Par ab farq nhi padta,
kyunki tumhe bhul chuka hu mai.


Babes you have no idea,
Sirf teri khushbu se mai behak jaya karta tha.
Aur mera udas sa chehra bhi chehak jaya karta tha.
Teri mehak me kuch to baat thi.
Shayad wo gulab ki pankhooriyan(petals) bhi tere sath thi.

Par ab farq nhi padta,
kyunki tumhe bhul chuka hu mai.

 


Ek waqt tha jab mai shard[winter] raaton me chaat[terrace] pe chala jata tha.
Aur kabhi tujhe, toh kabhi us chand ko takte[stare] chala jata tha.
Tum aur Chand bhut pyar se sunte the mujhe.
Jab mai harf dar harf[line by line] tumhe kahaniya sunaya karta tha.

Par ab farq nhi padta, 
kyunki tumhe bhul chuka hu mai.


Janta hu mai ki aaj kal yeh dooriyan thodi badhne lagi hai.
Aur mujhe Starbucks aur juice corner par kisi aur ke sath dekh ke
Tu jalne lagi hai.
Tumhe samjhata zarur mai.

Par ab farq nhi padta, 
kyunki tumhe bhul chuka hu mai.


 Author: Shubham Kishore
Email Id: shubhamkishore@gmail.com
               : loveclashes@gmail.com

No comments:

Post a Comment