abc

Wednesday, 18 July 2018

Mere Ishq Ki Nakami



Kuch baat thi purani,
Jo tumhe hai batani,
Mai nhi bhaga tha ishq se tere,
sirf wo waqt thi meri pareshani. ..

Manta hu dar gya tha mai us waqt se,
Par tumne v toh ni chupaya mjhe apni ulfat me,
Chalo maan liya alag the khayalat hamare,
Par kya kare ye pyar jatana bhi chod de. ..


Mana haqiqat se bahut dur thi khawaish meri,
Firr v ek khawaish thi, ek khawab tha,
Gulami toh sirf tere ishq ki hai,
Baki, ye dil pehle v nawab tha, aur aj v nawab hai . ..

Meri rishton ko nibhane ki aadat purani hai,
Zindagi toh jaise samjhauton ki kahani hai,
Duniya k andar toh dhoke ka samandar hai,
Yaha karte hai wafa, milti badnami hai. ..

Bas yehi mere ishq ki nakami hai!!!


Author: Shubham Kishore
Email Id: shubhamkishore@gmail.com
               : loveclashes@gmail.com

1 comment:

  1. I think this is an informative post and it is very useful and knowledgeable. therefore, I would like to thank you for the efforts you have made in writing this article. Furniture Stores Brampton

    ReplyDelete