abc

Showing posts with label mohabat. Show all posts
Showing posts with label mohabat. Show all posts

Thursday, 17 January 2019

Mohabat karne wale se pucho, kya hai 'MUSIBAT'

January 17, 2019 0 Comments


Mohabat karne wale se pucho, kya hai musibat.
Parwane se pucho jakar, kya hai hakikat.

Mohabat ki nhi jisne, musibat kya jane.
Jigar mein dard uth ta hai, wo kya dusra jane.

Shama par aakar kyun jalte hai parwane,(2)
Mohabat ki nahi jisne, musibat kya jane.

Jo hasino ko dekhte hi, char(instantly) aashiq ho jate hai.
Aur mohabat ka jhuta tarana kisi aur ko sunate hai.

Jhute wade jo karte hai wo ikrar kya jane.
Mohabat karna ek ibadat hai, woo kya jane.

Jisko dil na lagi kisi se, maruat kya jane,(2)
Mohabat ki nahi jisne, musibat kya jane.


Mohabat karne wale haqiqat me hai do-char
Aise toh mohabat ka garm hai pura bazar.

Patthar dil jarro ka var kya jane,
sacchi mohabat husan ki deewar kya jane.

Haqiqat mein mohabat hai, ganimat jamane(2)

Mohabat ki nahi jisne, musibat kya jane.

Author: Shubham Kishore
Email Id: shubhamkishore05@gmail.com
               : loveclashes@gmail.com



Saturday, 24 November 2018

Duniya se nata kya! Jab apna koi nhi.

November 24, 2018 0 Comments

Sunsan jungle hai mera ghar
koi kahi apna na nazar
Kehta hai dil ye baat magar
kar sahas aage badh toh sahi...!!!


Beet gaya mera khusi ka jamana
Lekar ek jhuta hi bahana
Kaun sune mere dil ka fasana
Jo jane sitam barbadi wahi...!!!


Juth hue mere sapne suhane
Lekar sitam gam aaya rulane
Dil mein dard wo ghao purane
Dil kehta hai dard sahu main nahi...!!!

Author: Shubham Kishore
Email Id: shubhamkishore05@gmail.com
               : loveclashes@gmail.com

Tuesday, 31 July 2018

Full Heart Touching "Love Story"

July 31, 2018 0 Comments



1 ladka or 1 ladki, ek dusre se bahut 'Mohabat' karte the
One day because of their bad fortunate the boy died.

Tab ladke ne ladki se kaha,
Ek wada tha tere har wade ke piche.
Tu milegi mujhe har gali, har darwaze ke piche.
Par tu hi bewafa nikli,
Ek tu hi na thi mere janaze ke piche.



After that girl replied
Ek wada tha mera, tere har wade ke piche.
Mai milungi har gali, har darwaze ke piche.
Par tune mood ke bhi na dekha,
Ek aur zanaza tha, tere zanaze ke piche. . .


Author: Shubham Kishore
Email Id: shubhamkishore@gmail.com
               : loveclashes@gmail.com