abc

Wednesday, 19 August 2026

Duniya ka malik ek hai, jisne duniya banai hai.


Mandir mein 'Ram', Masjid mein khuda, kisne ye farmai hai.
Duniya ka malik ek hai, jisne duniya banai hai.

Duniya ke insan sab ek hi hai saman,
Bhed bhav tu bhul ja murakh, hamara karm hi hai pradhan.
Duniya ka malik ek hai, jisne duniya banai hai.

'Mandir' 'Masjid' ek dwar hai.
Ek hi hai allah aur  ram
Do rah ke rahi dono
jana hai ek hi dham
Duniya ka malik ek hai, jisne duniya banai hai.

Mitti ki kaya hai,
Murat iska nam.
jab tak bole samjho jiwan
bad mein hai bekam.
Duniya ka malik ek hai, jisne duniya banai hai. 

Author: Shubham Kishore
Email Id: shubhamkishore05@gmail.com
               : loveclashes@gmail.com

No comments:

Post a Comment